Na chahte hue bhi kisi ko apni zindagi me shamil kar lena Nafrat banti hai be wajah yaad karne ki wajah Jitni mohabbat ki na us se kahi zya...
Na chahte hue bhi kisi ko apni zindagi me shamil kar lena
Nafrat banti hai be wajah yaad karne ki wajah
Jitni mohabbat ki na us se kahi zyada nafrat kar baithe
Nafrat bani us mohabbat ko bhulane ki wajah
Ishq par zor nahi chalta jaise
Kisi ki ek ada par mohabbat ho jati hai jaise
Haa ho sakti hai kisi k ek gunah se nafrat aise
Maine to kiya wafa hamesha
Phir bhi usi ne banaya mujhe bewafai ki wajah
Na jane konsa bair tha usko mujhse
Khud bewafa hokar mujhe hi tehraya iski wajah
Kahte bhi to kya aur karte bhi to kya
Sab jaan kar khamosh rahe hum
Aur usne banaya har ilzam ki wajah
Tu kehta to hum chale jate phir kabhi na aate
Tune jo ilzam diye woh zakhm hi bane nafrat ki wajah
Yu humpar ilzam lagana aur khud wafa ki murti ban jana
Isi khata ko banaya tumne meri nafrat ki wajah
Kahte hai log nafrat hoti hai mohabbat ka dusra naam
Kaise samjhau mai unhe meri mohabbat hi bani nafrat ki wajah
Ae khuda mere sath kuch to insaf karde
Pahle mohabbat me uski yaado ka pehra tha
Ab nafrat bhi ban gayi use yaad karne ki wajah
Uski be wafai ko hum bhula na sakege
Is nafrat ki jalti shama ko bhuja na sakege
Shole bhadak uthe hai sine me
Use kabhi maaf hum kar na sakege
Tune jo diya ab wo dard hi zindagi hai
Nahi rahi ab koi muskurane ki wajah
Bewafa tu nikla lekin kisi aur par bhi bharosa na kar payege hum
Ab kisi ko na banayege Zindagi jeene ki wajah
Nazro se tu pehle hi gir chuka hai
Khuda kare Dil o dimag se bhi tu chala jaye
Kash apni nafrat me bhi mil jaye tujhe bhoolne ki wajah
I just want to thank you for sharing your information and your site or blog this is simple but nice Information. I’ve ever seen like heart touching shayari in english 2 lines learn something today.
ReplyDelete