Kya kahu k kaha nahi jata Kya sunau k sunaya nahi jata Rakeeb ban baitha hai khud ka Is dil ko ab sambhala nahi jata Nisar e Jahan kardiya ...
Kya kahu k kaha nahi jata
Kya sunau k sunaya nahi jata
Rakeeb ban baitha hai khud ka
Is dil ko ab sambhala nahi jata
Nisar e Jahan kardiya mera maine uspar
Aur wo kahte hai k ab tumko Saha nahi jata
Deen rahi na duniya k rahe hum
Aise behosh hue k ab hosh bhi nahi aata
Marz e ishq bahot zalim hai
Kaise dil halka ho ab to khul k roya bhi nahi jata
Tufan uth jate hai laakhon Zindagi me
Aur hamare sanam ko chain nahi aata
Khud hi khud se ladhte hai khud hi mana lete hai
Ab manane yaha hume koi nahi aata
Anjane me bhi dil na dena kisi ko
Ye marz wo jo jaan hai le jata
Nafrat se mohabbat aur mohabbat se nafrat hone me der nahi lagti
Ye Shama hi aisi hai jisme parwana fana ho hi jata
Na Shama ladki hai na parwana ladka hai
Ye fark to sirf sochne walo me hi aata
Kabhi shama ke tasavvur me ladka aur parwana ban jati hai ek ladki bhi
Kabhi Ishq karna to samajh aaye yaha kon mit jata
Us se shuru aur uspar hi khatm kardiya mera Jahan maine
Phir bhi wo kahte hai tumhari Mohabbat me ab maza nahi aata
Mausam ki tarah badal jate hai log bhi
Mijaz e guftagu badal jati hai lekin mohabbat ko badla nahi jata
Bheed me rahkar bhi tanha rahte hai
Kaash is tanhai ko bhi koi jaan paata
Wo maazi me bite din koi wapas laaye
Hum jeena bhool gaye hai wo sachchi khushi ab koi nahi deta
Dost hai duniya hai sab kuch to hai tere paas
Phir bhi simran tujhe sukoon kyu nahi aata
Hi dosto bahot dino baad kuch likha hai aapko kaisi lagi batana aur share karna mat bhoolna, and happy new year 🤗
No comments
If you have any suggestion or request, please let me know.